teri talash to kya teri aas bhi na rahe
ajab nahin ki kisi din ye pyas bhi na rahe
har ek samt KHala hi KHala nazar aaen
KHaraba-e-dil-e-viran mein yas bhi na rahe
gham-e-firaq ki talKHi wo dasht hai ki jahan
koi qarib to kya aas-pas bhi na rahe
tera KHayal hi par tol kar uDa le jae
koi umid sharik-e-hawas bhi na rahe
tamam rang hai KHushbu tamam KHushbu rang
gulon se rang uDa len to bas bhi na rahe
luTa hai qafila-e-agahi do-rahe par
zamana-saz to kya KHud-shanas bhi na rahe
kisi tariq se 'shahzad' dil ko samjha len
na muskurae magar yun udas bhi na rahe
Ghazal
Teri talash to kya teri aas bhi na rahe
Shahzad Ahmad