اردو हिंदी
Teri talash mein hai saeban bhi hum bhi | Shaahi Shayari
teri talash mein hai saeban bhi hum bhi

Ghazal

Teri talash mein hai saeban bhi hum bhi

Nabeel Ahmad Nabeel

;

teri talash mein hai saeban bhi hum bhi
hamare sath hamari thakan bhi hum bhi

falak ko chhune ki KHwahish hazar dil mein liye
ki sargiran hai hamari uDan bhi hum bhi

hai intizar mein barson se rahnumaon ke
hamari manzil-e-jaan ka nishan bhi hum bhi

wahi hai nok-e-sinan-e-sitam-garan-e-jahan
wahi hai karb-o-bala imtihan bhi hum bhi

isi ka nam liye jaenge qayamat tak
hamare sath rahegi azan bhi hum bhi

talash-e-manzil-e-hasti mein ek zamana hua
bhaTakte phirte hain sab karwan bhi hum bhi

isi purani kahani pe hum jiye jaen
wahi hawale wahi dastan bhi hum bhi

'nabil' roz-e-azal se the jaise waise hain
sitamgaron ke sitam hain lagan bhi hum bhi