teri surat mujhe batati hai
yaad meri tujhe bhi aati hai
us ke ek bar dekhne ki ada
dil mein sau hasraten jagati hai
mere dil mein wo aae hain aise
jaise aangan mein dhup aati hai
KHwab mein jab bhi dekhta hun use
nind aankhon se ruTh jati hai
apni marzi se hum nahin chalte
koi taqat hamein chalati hai
hum hain tahzib ke alam-bardar
hum ko urdu zaban aati hai
main to sahil hun mauj dariya ki
mujh ko KHud hi gale lagati hai
Ghazal
Teri surat mujhe batati hai
Mohammad Ali Sahil