teri qurbaten hain sakun jaan-e-jaanan
wagarna mohabbat junun jaan-e-jaanan
jo sochun main haalat apne watan ke
ragon mein se rista hai KHun jaan-e-jaanan
abhi tak ghaneri si chadar mein hun main
kisi zulf ka hai fusun jaan-e-jaanan
fasane mohabbat ke zinda rahenge
main likkhun na chahe likhun jaan-e-jaanan
tumhaari mohabbat ka ab bhi qasam se
mere chaar su hai fusun jaan-e-jaanan
KHaridar tu ho to KHwahish hai meri
ki yusuf ke tarah bikun jaan-e-jaanan
zamana to kahta hai kahta rahega
ye yun hai ye yun hai ye yun jaan-e-jaanan

Ghazal
Teri qurbaten hain sakun jaan-e-jaanan
Nadeem Gullani