teri nigah se ise bhi guman hua ki main hun
wagarna dil to mera manta na tha ki main hun
ajib lamha wo didar-e-husn-e-yar ka tha
us ek pal ki tajalli mein ye khula ki main hun
na jaane be-KHabari ke wo kis maqam pe tha
nazar uThata to har gul pukarta ki main hun
tere jamal ki kuchh raushni si paDti hai
bata raha hai mujhe rang-e-aina ki main hun
jise bhula ke ye dil mutmain tha muddat se
kal us ke zikr pe ek ahd bol uTha ki main hun
par-e-zamana to parwaz-e-nur se bhi hai tez
kahan hai kaun tha jis ne abhi kaha ki main hun
kahan pe sarhad-e-na-bud-o-bud milti hai
subut ho ki na ho e'tibar kya ki main hun
hayat KHud hai dahan-e-nahang-e-la-yani
jo hai adam ka musafir hai main chala ki main hun
na raftagan hain na ab yaad-e-raftagan baqi
main kya hun juz ram-e-yak-mauja-e-fana ki main hun
mujh aise zarron ka hona na hona ek sa hai
bagule in se uThe to pata chala ki main hun
khula paDa hai sar-e-rah be-his-o-harakat
jo hath kal tak uTha chiKHta raha ki main hun
abhi tariq-e-tahammul nahin mizajon mein
abhi faqihon mein hangama hai bapa ki main hun
kahin kahin abhi tauqir-e-lafz baqi hai
suKHan sunai diya harf-e-dard ka ki main hun
ajib aalam-e-hu tha 'ziya' jab aaKHir-e-shab
kisi ko dil ne ye kahte hue suna ki main hun
Ghazal
Teri nigah se ise bhi guman hua ki main hun
Zia Jalandhari