اردو हिंदी
Teri nigah ki jab se muawanat na rahi | Shaahi Shayari
teri nigah ki jab se muawanat na rahi

Ghazal

Teri nigah ki jab se muawanat na rahi

Saleem Faraz

;

teri nigah ki jab se muawanat na rahi
kisi ke dil mein meri qadr-o-manzilat na rahi

do ek pal hi koi mujh pe multafit tha magar
tamam umr kisi se muKHasamat na rahi

raha na qabza tere dil pe to tajjub kya
meri to apne ilaqe pe saltanat na rahi

koi bhi waqia ho pur-sukun hi rahta hai
lahu mein pahli si mauj-e-muzahamat na rahi

KHabar nahin hai wahan gul khile ki dhul uDi
ghazal-e-dasht se meri murasalat na rahi

shah-e-suKHan se tere kaun muttafiq na ho ab
ki mere baad sada-e-muKHalifat na rahi

'salim' lab pe sajata tha jaise lafz wahi
ki is ke baad suKHan mein wo tamkanat na rahi