teri nazar mein tere ma-siwa nahin hoga
tere wajud ka jis din tujhe yaqin hoga
jo ghar se nikla to har ek ko muntazir paya
KHayal tha ki koi jaanta nahin hoga
fareb deti hain viraniyan sada to laga
makan hai to yaqinan koi makin hoga
KHabar na thi ki hazar aankhen hain andhere ki
use KHayal tha charcha kahin nahin hoga
hare daraKHton ke sae se ab larazta hai
wo KHushk patton mein baiTha hua kahin hoga
wo chhup gaya ho kisi KHauf se kahin warna
abhi dikhai diya tha yahin kahin hoga
'waqar' aur kahin to nazar nahin aata
agar wo ghar mein nahin hai to phir wahin hoga

Ghazal
Teri nazar mein tere ma-siwa nahin hoga
Waqar Vasiqi