اردو हिंदी
Teri justuju mein dekha main kahan kahan se guzra | Shaahi Shayari
teri justuju mein dekha main kahan kahan se guzra

Ghazal

Teri justuju mein dekha main kahan kahan se guzra

Figar Muradabadi

;

teri justuju mein dekha main kahan kahan se guzra
kabhi is zamin ko raunda kabhi aasman se guzra

tere gham mein do jahan se jo bacha liya hai daman
kabhi aisa bhi hua hai gham-e-do-jahan se guzra

mere naqsh-ha-e-ulfat ye bata rahe hain sab ko
main kahan kahan pe Thahra main kahan kahan se guzra

ye masajid-o-manadir mere kaam kuchh na aae
tere ishq mein jo guzra to main apni jaan se guzra

tu KHabir bhi hai kaamil tu alim bhi hai mutlaq
tere samne kahun kya main kahan kahan se guzra

kabhi wo the mujh se barham kabhi mujh pe mehrban the
ki 'figar' ishq mera kaDe imtihan se guzra