teri bhuwan ki tegh jab aai nazar mujhe
karna hua zarur miyan tark-e-sar mujhe
zinat hai aashiqon ko lab-e-KHushk o chashm-e-tar
hasil hui hai saltanat-e-bahr-o-bar mujhe
barik-bin hun mujh se kaho us miyan ki baat
rahta hai bas-ki dil mein KHayal-e-kamar mujhe
be-KHud hun is qadar ki nahin dil ko shauq-e-mai
us mast ki nigah ka hua hai asar mujhe
main koh o dasht ek qadam mein kiya hai tai
majnun o kohkan ki nahin kuchh KHabar mujhe
jab sim-bar ke gham se hua rang jun tala
tab sab ne ja aziz kiya misl-e-zar mujhe
'hatim' hua hun aal-e-nabi ki panah mein
duniya o din ke gham se nahin kuchh KHatar mujhe
Ghazal
Teri bhuwan ki tegh jab aai nazar mujhe
Shaikh Zahuruddin Hatim