tere taghaful se hai shikayat na apne miTne ka koi gham hai
ye sab ba-zahir baja hai lekin ye aankh kyun aaj meri nam hai
nai umangon ko sath le kar rawan hun phir jada-e-wafa par
magar hai ehsas-e-na-muradi ki sahma sahma sa har-qadam hai
meri ummidon ko raund kar ab meri KHushi ki hai tum ko parwa
ye kya naya rup tum ne dhaara ye kya koi nit-naya bharam hai
tumhein wo lamhe to yaad honge ki jab tumhein yaad the ye fiqre
tumhein mere sar ka wasta hai tumhein meri jaan ki qasam hai
wo mehrban kyun hue hain mujhe par wo puchhte hain to kah do 'nayyar'
huzur zinda hun ji raha hun baDi nawazish baDa karam hai

Ghazal
Tere taghaful se hai shikayat na apne miTne ka koi gham hai
Sajjad Baqar Rizvi