tere suluk ka gham subh-o-sham kya karte 
zara si baat pe jina haram kya karte 
ki be-adab ka bhala ehtiram kya karte 
jo nastik tha use ram-ram kya karte 
wo koi 'mir' hon 'ghaalib' hon ya 'anis'-o-'dabir' 
suKHan-wari se baDa koi kaam kya karte 
na nind aankhon mein baqi na intizar raha 
ye haal tha to koi nek kaam kya karte 
mizaj mein tha takabbur to harkaton mein ghurur 
phir aise shaKHs ko hum bhi salam kya karte 
'rais' KHu-e-wafa ne hamein rulaya hai 
phir is chalan ko bhala hum bhi aam kya karte
        Ghazal
Tere suluk ka gham subh-o-sham kya karte
Rais Siddiqui

