اردو हिंदी
Tere siwa meri hasti koi jahan mein nahin | Shaahi Shayari
tere siwa meri hasti koi jahan mein nahin

Ghazal

Tere siwa meri hasti koi jahan mein nahin

Sahir dehlavi

;

tere siwa meri hasti koi jahan mein nahin
ye raaz fash hai han se nahin main han mein nahin

jo la-makan hai muqayyad kisi makan mein nahin
tayyunat nishan mein hain be nishan mein nahin

sifat jalwa-gah-e-zat hai tajalli-e-husn
ye jism jalwa-gah-e-jaan hai nur-e-jaan mein nahin

zaban-e-haal se hai kaif-e-be-KHudi goya
ye wo zamin hai ki jis ka nishan zaman mein nahin

farogh-e-hasti-e-mutlaq hai jalwa-e-pindar
hijab-e-hasti-e-mauhum darmiyan mein nahin

nishan yaqin ka do-alam mein qalb-e-sakin hai
qarar wahm mein aasudgi guman mein nahin

meri fasurda-dili ne nae khilae hain gul
nahin ki mausam-e-gul mausam-e-KHizan mein nahin

main nang-e-dehli hun nang-e-suKHan-waran 'sahir'
asatiza ki zaban kya karun dahan mein nahin