tere sitam ki zamana duhai deta hai
kabhi ye shor tujhe bhi sunai deta hai
shajar se TuTne wale har ek patte mein
tere bichhaDne ka manzar dikhai deta hai
jo dil mein baat ho khulti nahin kisi pe magar
kahe jo aankh wo sab ko sunai deta hai
main iKHtiyar tumhein apna saunp dun kaise
kabhi KHuda bhi kisi ko KHudai deta hai
udas raat ke aangan mein Dubta saya
bichhaDne wale ka paikar dikhai deta hai
KHizan-mizaj hai wo chhoD do use 'KHawar'
wo mausamon ke safar mein judai deta hai
Ghazal
Tere sitam ki zamana duhai deta hai
Khaqan Khavar