tere qarib bhi dil kuchh bujha sa rahta hai
gham-e-firaq ka khaTka laga sa rahta hai
na jaane kab nigah-e-baghban badal jae
har aan phulon ko dhaDka laga sa rahta hai
hazaron chand sitare nikal ke Dub gae
nagar mein dil ke sada jhuTpuTa sa rahta hai
tumhaare dam se hain tanhaiyan bhi bazm-e-nashat
tumhaari yaadon ka ek jamghaTa sa rahta hai
wo ek nigah ki mafhum jis ke lakhon hain
usi nigah ka ek aasra sa rahta hai
tumhaare ishq ne 'mumtaz' kar diya dil ko
ye sab se mil ke bhi sab se juda sa rahta hai
Ghazal
Tere qarib bhi dil kuchh bujha sa rahta hai
Mumtaz Mirza