tere lab-bin hai dil mein shola-zan mul jis ko kahte hain
nashe ki maut ki hichki hai qulqul jis ko kahte hain
jo puchhe ittihad-e-husn-o-ishq us ko nazar aawe
ki nikla baiza-e-ghuncha se bulbul jis ko kahte hain
ai mali KHarij aahangi na kar saz-e-mohabbat mein
dil-e-bulbul hai TuTa KHun hua gul jis ko kahte hain
guzarne ka sabab hai zindagi ke aab se piri
qadam KHam hai muhit-e-umr ka pul jis ko kahte hain
baja hote hain 'uzlat' dil kabab in ishq-bazon ke
dhuan hai husn ki aatish ka kakul jis ko kahte hain

Ghazal
Tere lab-bin hai dil mein shola-zan mul jis ko kahte hain
Wali Uzlat