tere kuche mein jo baiTha hai pagal
wo dil se hath dho baiTha hai pagal
tasawwur mein tumhaara sath pa kar
lo apne hosh kho baiTha hai pagal
teri KHushbu jidhar ko ja rahi hai
usi jaanib hi to baiTha hai pagal
zamane par to khul kar hans raha tha
tere chhute hi ro baiTha hai pagal
ishaare ishq ki maujon ke pa kar
badan-kashti Dubo baiTha hai pagal
taaruf yun mera deti hai duniya
chale jao ki wo baiTha hai pagal
suKHan-war fikr ke lamhon mein aksar
lage hai yun ki go baiTha hai pagal
tumhaare dar pe kitni muddaton se
nigahen pher lo baiTha hai pagal
meri aankhon ke zine se utar kar
mera daman bhigo baiTha hai pagal
Ghazal
Tere kuche mein jo baiTha hai pagal
Irshad Khan ’Sikandar’