tere kuche ka rahnuma chahta hun
magar ghair ka naqsh-e-pa chahta hun
jahan tak ho tujh se jafa chahta hun
ki main imtihan-e-wafa chahta hun
KHuda se tera chahna chahta hun
mera chahna dekh kya chahta hun
kahan rang-e-wahdat kahan zauq-e-waslat
main apne ko tujh se juda chahta hun
barabar rahi hadd-e-yar-o-mohabbat
kisi ko main be-intiha chahta hun
kahan hai teri barq-e-josh-e-tajalli
ki main saz-o-barg-e-fana chahta hun
wo jab kho chuke mujh ko hasti se apni
to kahte hain ab main mila chahta hun
junun-e-mohabbat mein pand-e-adu kya
bhala main kisi ka bura chahta hun
tabiat ki mushkil-pasandi to dekho
hasinon se tark-e-wafa chahta hun
jo dil main ne chaha to kya KHak chaha
ki dil bhi to be-muddaa chahta hun
ye hasrat ki lazzat ye zauq-e-tamanna
shab-e-wasl un se haya chahta hun
siwa is ke main kya kahun tum se 'asi'
ki darwesh ho tum dua chahta hun
Ghazal
Tere kuche ka rahnuma chahta hun
Aasi Ghazipuri