tere KHayal ko zanjir karta rahta hun
main apne KHwab ki tabir karta rahta hun
tamam rang adhure lage tere aage
so tujh ko lafz mein taswir karta rahta hun
jo baat dil se zaban tak safar nahin karti
usi ko sher mein tahrir karta rahta hun
dukhon ko apne chhupata hun main dafinon sa
magar KHushi ko hama-gir karta rahta hun
guzishta rut ka amin hun nae makan mein bhi
purani inT se tamir karta rahta hun
mujhe bhi shauq hai duniya ko zer karne ka
main apne aap ko tasKHir karta rahta hun
zamin hai ki badalti nahin kabhi mehwar
main kaisi kaisi tadabir karta rahta hun
jo main hun us ko chhupata hun sare aalam se
jo main nahin hun wo tashhir karta rahta hun
Ghazal
Tere KHayal ko zanjir karta rahta hun
Alam Khursheed