tere hirman-nasibon ki bhi kya taqdir hai saqi
ba-har-surat wahi zindan wahi zanjir hai saqi
sharare zindagi ke dekhta hun rakh mein pinhan
mere haq mein ye KHak-e-ashiyan iksir hai saqi
bahaar aai hai gulshan mein magar mahsus hota hai
nazare sahme sahme hain faza dil-gir hai saqi
KHush aaegi bhala kaise wo tere mai-paraston ko
jo KHamoshi harif-e-nala-e-shab-gir hai saqi
wo aazadi qafas mein git jis ke gae jate the
gulistan mein wahi ab panw ki zanjir hai saqi
bahaar aai qafas ke dar khule baadal uThe barse
dua lekin hamari tishna-e-tasir hai saqi
faqat ek jurm-e-haq-goi ke chalte teri mahfil mein
tere 'asif' ki masti mojib-e-tazir hai saqi
Ghazal
Tere hirman-nasibon ki bhi kya taqdir hai saqi
Sulaiman Aasif