اردو हिंदी
Tere diwane izhaar-e-mohabbat kar nahin sakte | Shaahi Shayari
tere diwane izhaar-e-mohabbat kar nahin sakte

Ghazal

Tere diwane izhaar-e-mohabbat kar nahin sakte

Mohammad Abbas Safiir

;

tere diwane izhaar-e-mohabbat kar nahin sakte
mohabbat kar ke tauhin-e-mohabbat kar nahin sakte

talluq KHas hai dil ko KHayal-e-ranj-o-rahat se
kisi ko hum sharik-e-ranj-o-rahat kar nahin sakte

jo shaida hain mohabbat ke jo diwane hain ulfat ke
wo apne dushmanon se bhi adawat kar nahin sakte

jawan hain jin ke pahlu mein KHayal-e-pas KHuddari
zarurat mein bhi izhaar-e-zarurat kar nahin sakte

kiya iman taza qamat-e-dildar ne aisa
'safir' ab hum bhi inkar-e-qayamat kar nahin sakte