tere dayar mein koi gham-ashna to nahin
magar wahan ke siwa aur rasta to nahin
simaT ke aa gai duniya qarib-e-mai-KHana
koi batao yahi KHana-e-KHuda to nahin
labon par aaj tabassum ki mauj machli hai
koi mujhe kisi goshe se dekhta to nahin
bana len rah isi KHar-zar se ho kar
junun-e-shauq ka ye faisla bura to nahin
sabab ho kuchh bhi tere infial ka lekin
meri shikast se pahle kabhi hua to nahin
na reg-e-garm na kanTe na rahzan na ghanim
ye rasta kahin ghairon ka rasta to nahin
dayar-e-sajda mein taqlid ka riwaj bhi hai
jahan jhuki hai jabin un ka naqsh-e-pa to nahin
KHayal-e-sahil o fikr-e-tabah-kari-e-mauj
ye sab hai phir bhi tamanna-e-naKHuda to nahin
Ghazal
Tere dayar mein koi gham-ashna to nahin
Ali Jawwad Zaidi