tere baghair masafat ka gham kahan kam hai
magar ye dukh ki meri umr-e-raegan kam hai
meri nigah ki wusat bhi is mein shamil kar
meri zamin pe tera ye aasman kam hai
tujhe KHabar bhi kahan hai mere iradon ki
tu meri sochti aankhon ka raaz-dan kam hai
isi se ho gae manus tairan-e-chaman
wo jo ki bagh ka dushman hai baghban kam hai
agarche shahr mein phaili kahaniyan hain bahut
koi bhi sunne-sunane ko dastan kam hai
nigah o dil pe khuli hain haqiqaten kaisi
ye dil udas ziyaada hai shadman kam hai
ab is se baDh ke bhi koi hai pul-siraat abhi
main ji raha hun yahan jaise imtihan kam hai
Ghazal
Tere baghair masafat ka gham kahan kam hai
Akhtar Shumar