tere baghair ajab bazm-e-dil ka aalam hai
charagh sainkaDon jalte hain raushni kam hai
jo ji rahe hain unhi ke liye har ek gham hai
zahe-nasib ki phulon ki zindagi kam hai
qafas se aae chaman mein to bas yahi dekha
bahaar kahte hain jis ko KHizan ka aalam hai
KHayal-e-tark-e-mohabbat ki KHair ho yarab
kuchh aaj mast nigahon ki be-ruKHi kam hai
banae hain isi shabnam ne sainkaDon dariya
nahin malal jo dariya harif-e-shabnam hai
kaha ye dil ne suni guftugu jo naseh ki
mubaalagha hai bahut is mein waqia kam hai
bahaar aae chaman mein ye intizar na dekh
'shakil' apne junun ki bahaar kya kam hai
Ghazal
Tere baghair ajab bazm-e-dil ka aalam hai
Shakeel Badayuni