tere badan ki nazakaton ka hua hai jab ham-rikab mausam
nazar nazar mein khila gaya hai shararaton ke gulab mausam
hum apne gum-gashta walwalon par KHunuk hawaon ke qahqahon ka
jawab dete jo sath lata hamara ahd-e-shabab mausam
wo ek banjar zamin ghar ki jo sun rahi thi sabhi ke tane
KHusha ki is bar is zamin ko bhi de gaya ek gulab mausam
amir logon ki koThiyon tak tere ghazab ki pahunch kahan hai
faqat gharibon ke jhonpaDon tak hai tera dast-itab mausam
ye barf pighlegi choTiyon se paron mein aaegi phir hararat
bharenge unchi uDan phir hum rahega kab tak KHarab mausam
Ghazal
Tere badan ki nazakaton ka hua hai jab ham-rikab mausam
Ehtisham ul Haq Siddiqui