اردو हिंदी
Tera yaqin hun main kab se is guman mein tha | Shaahi Shayari
tera yaqin hun main kab se is guman mein tha

Ghazal

Tera yaqin hun main kab se is guman mein tha

Zafar Ghauri

;

tera yaqin hun main kab se is guman mein tha
main zindagi ke baDe saKHt imtihan mein tha

shajar shajar meri aamad ka muntazir mausam
main barg-e-gul sa hawaon ki ek uDan mein tha

paTak ke toD diya jis ne nisha-e-jaan ko
mein ju-e-shir sa pinhan usi chaTan mein tha

andheri raat mein samt-e-sada pe chhoD diya
hawas ka tir jo us jism ki kaman mein tha

uTha saka na main dast-e-tahi se patthar bhi
mata-e-ghair sa wo kanch ki dukan mein tha

ye daur-e-ilm-o-hunar is ko paDh nahin paya
sahifa dil ka mera jaane kis zaban mein tha