اردو हिंदी
Tera KHayal sar-e-sham gham sanwarta hua | Shaahi Shayari
tera KHayal sar-e-sham gham sanwarta hua

Ghazal

Tera KHayal sar-e-sham gham sanwarta hua

Mazhar Imam

;

tera KHayal sar-e-sham gham sanwarta hua
bahut qarib se guzra salam karta hua

jhijak raha tha wo mujh se nazar milate hue
ki main bhi tha isi KHake mein rang bharta hua

main gharq hone hi wala tha jab to ek tinka
bhanwar se mujh ko dikhai diya ubharta hua

mila wo panch sitaron ki raqs-gahon mein
zamane bhar se pasheman KHud se Darta hua

masafaten hain bahut aur saKHt rahon se
guzar gaya hai wo mujh ko talash karta hua

raqam hua nahin ab tak nisab-e-ham-safri
wo qafila bhi mila jab to kuch karta hua

ajab tilism-e-safar hai ki sham-e-maqtal tak
pahunch gaya hun main har moD par Thaharta hua

kinara tha mere dariya se kaT gaya wo shaKHs
ki main tha waqt ki sarhad ko par karta hua