tera KHayal farozan hai dekhiye kya ho
KHamosh gardish-e-dauran hai dekhiye kya ho
na jaane kitne sitare ye kahte Dub gae
sahar ka rang pareshan hai dekhiye kya ho
kali udas chaman sogwar gul KHamosh
ye intizar-e-bahaaran hai dekhiye kya ho
ajib baat hai in tirgi ki rahon mein
nafas nafas mein charaghan hai dekhiye kya ho
bhaDak raha hai abhi tak charagh aaKHir-e-shab
use bhi subh ka arman hai dekhiye kya ho
Ghazal
Tera KHayal farozan hai dekhiye kya ho
Zehra Nigaah