tinke ka hath aaya sahaara ghalat ghalat
mauj-e-talab ne paya kinara ghalat ghalat
sail-e-bala mein Dub raha tha main jis ghaDi
duniya ke sath us ne pukara ghalat ghalat
hum log ji rahe hain tere shahr mein abhi
kije na indiraj hamara ghalat ghalat
chalta hai dushmanon ki tarah mere sath jo
us ne kiya hai mujh ko gawara ghalat ghalat
koi bhi chiz rahni nahin ta-abad yahan
naqsha hai is jahan ka sara ghalat ghalat
shaKH-e-talab ko pani diya hai lahu nahin
hum ne har ek gul ko nikhaara ghalat ghalat
raaton ka iztirab nahin yun bhi ja saka
ubhra hai zulmaton mein sitara ghalat ghalat
ek ek waraq mein KHauf ka mazmun hai miyan
hai zist ka har ek shumara ghalat ghalat
dhoka diya hai aaine ko us ne is tarah
zulfon ko us ne ruKH pe sanwara ghalat ghalat
ilzam de ke dana-e-gandum ka ai 'nabil'
us ne mujhe zamin pe utara ghalat ghalat

Ghazal
Tinke ka hath aaya sahaara ghalat ghalat
Nabeel Ahmad Nabeel