TimTimata hua mandir ka diya ho jaise
teri aankhon mein koi KHwab chhupa ho jaise
pher lin tum ne nigahen to ye mahsus hua
mujh se ruThi hui tasir-e-dua ho jaise
gunjti hai mere kanon mein yun aawaz teri
koh o sahra mein azanon ki sada ho jaise
apni nazren na jhukana ki guman hota hai
samne sar pe khaDi meri qaza ho jaise
un ke ruKHsat ka wo lamha mujhe yun lagta hai
waqt naraaz hua din bhi Dhala ho jaise
pas hote ho to mahsus yahi hota hai
umr bhar ki ye riyazat ka sila ho jaise
bhiD aisi hai kise sajda karun ai 'azam'
aaj ke daur mein har shaKHs KHuda ho jaise
Ghazal
TimTimata hua mandir ka diya ho jaise
Imam Azam