tilism-KHana-e-asbab mere samne tha
mera hi dekha hua KHwab mere samne tha
wahi nahin tha jise dil talak rasai thi
ki yun to majma-e-ahbab mere samne tha
tamam umr sitare talash karta phira
palaT ke dekha to mahtab mere samne tha
main ek sada ke tahayyur mein ghir gaya warna
kinara samne girdab mere samne tha
kitab-e-ishq khuli thi suna raha tha koi
main paDh raha tha naya bab mere samne tha
main DhunDta raha mazi ke gum-shuda auraq
nisab-e-mimbar-o-mehrab mere samne tha
rida-e-faqr bacha le gai mujhe warna
fareb-e-atlas-o-kam-KHwab mere samne tha

Ghazal
Tilism-KHana-e-asbab mere samne tha
Saleem Kausar