tirgi se raushni ka ho gaya
main mukammal shaeri ka ho gaya
der tak bhaTka main us ke shahr mein
aur phir us ki gali ka ho gaya
so gaya aankhon tale rakh ke unhen
aur KHat ka rang phika ho gaya
ek bosa hi diya tha raat ne
chand tu to raat hi ka ho gaya
raat bhar laDta raha lahron ke sath
subh tak 'kanha' nadi ka ho gaya

Ghazal
Tirgi se raushni ka ho gaya
Prakhar Malviya Kanha