tirgi mein subh ki tanwir ban jaenge hum
KHwab tum dekhoge aur tabir ban jaenge hum
ab ke ye socha hai gar aazad tum ne kar diya
KHud hi apne panw ki zanjir ban jaenge hum
aansuon se likh rahe hain bebasi ki dastan
lag raha hai dard ki taswir ban jaenge hum
likh na pae jo kisi ki nim-baz aaankhon ka raaz
wo ye wada kar rahe hain 'mir' ban jaenge hum
gar yun hi baDhta raha din raat shughl-e-mai-kashi
ek din is mai-kade ke pir ban jaenge hum
us ne bhi auron ke jaisa hi kiya hum se suluk
jo ye kahta tha teri taqdir ban jaenge hum
Ghazal
Tirgi mein subh ki tanwir ban jaenge hum
Azm Shakri