tira-baKHton ko kare hai nala-e-ghamgin KHarab
jis tarah ho ja saba se kakul-e-mushkin KHarab
jun nasim-e-subh ghunche gul ke sab barbaad hain
sard-mehri se buton ki hain dil-e-rangin KHarab
be-dimaghi mat kar ai zalim ki jun mauj o habab
dil mera kar de hai pal mein abru-e-pur-chin KHarab
jun jale hai shama ka musht-e-zar aur tasbih-e-ashk
jis tarah sarkash ka hai duniya KHarab aur din KHarab
tha bana 'uzlat' wo faulad-e-dil-e-parwez se
tab to teshe ne kiya yun KHana-e-shirin KHarab

Ghazal
Tira-baKHton ko kare hai nala-e-ghamgin KHarab
Wali Uzlat