tir-o-talwar se nahin hota
kaam hathiyar se nahin hota
ghaw bharta hai dhire dhire hi
kuchh bhi raftar se nahin hota
khel mein bhawna hai zinda to
farq kuchh haar se nahin hota
sirf nuqsan hota hai yaro
labh takrar se nahin hota
us pe kal roTiyan lapeTe sab
kuchh bhi aKHbar se nahin hota
Ghazal
Tir-o-talwar se nahin hota
Mahaveer Uttaranchali