Thokar se dusron ko bachane ka shukriya
patthar ko raste se haTane ka shukriya
ab ye bataen aap ki main kya madad karun
farzi kahani mujh ko sunane ka shukriya
mere bahut se kaam adhure nahin rahe
ai dost itne rose na aane ka shukriya
tanha nahin raha tere jaane ke baad main
kuchh ajnabi ghamon se milane ka shukriya
itni KHushi mili ki sambhaali nahin gai
do-chaar lamhe mujh pe luTane ka shukriya
mahbub tere hijr mein karta hun shairi
mujh ko kisi Thikane lagane ka shukriya

Ghazal
Thokar se dusron ko bachane ka shukriya
Khalid Mahboob