thoDi der ai saqi bazm mein ujala hai
jam KHali hone tak chand Dhalne wala hai
subh ki hasin kirnen nag ban ke Das lengi
main inhen samajhta hun main ne un ko pala hai
bazm-e-nau ki shamon ko ye KHabar nahin hogi
kis ne zulmat-e-shab ko raushni mein Dhaala hai
kis ne KHwab-e-insan ke nuqrai safine ko
saKHt-tar talatum ki zad mein bhi sambhaala hai
log hans ke kah denge main KHarab-e-sahba tha
mai-kada ye KHush hoga us ka bol-baala hai
meri fikr ki KHushbu qaid ho nahin sakti
yun to mere honTon par maslahat ka tala hai
meri maut ai saqi irtiqa hai hasti ka
ek 'salam' jata hai ek aane wala hai
Ghazal
ThoDi der ai saqi bazm mein ujala hai
Salam Machhli shahri