Thik hai KHud ko hum badalte hain
shukriya mashwarat ka chalte hain
ho raha hun main kis tarah barbaad
dekhne wale hath malte hain
hai wo jaan ab har ek mahfil ki
hum bhi ab ghar se kam nikalte hain
kya takalluf karen ye kahne mein
jo bhi KHush hai hum us se jalte hain
hai use dur ka safar dar-pesh
hum sambhaale nahin sambhalte hain
tum bano rang tum bano KHushbu
hum to apne suKHan mein Dhalte hain
main usi tarah to bahalta hun
aur sab jis tarah bahalte hain
hai ajab faisle ka sahra bhi
chal na paDiye to panw jalte hain
Ghazal
Thik hai KHud ko hum badalte hain
Jaun Eliya