thi zarf-e-wazu mein koi shai pi gae kya aap
ai shaiKH yahan kaun hai main chur hun ya aap
diwanon ke sar ho gai kiya zulf-e-dota aap
wo ja ke gale apne laga lae bula aap
hans hans ke mujhe aap abas kos rahe hain
ro ro ke mere waste mangenge dua aap
uDte bhi agar hum to qafas le ke na uDte
sayyaad qafas su-e-chaman uD ke chala aap
jo uTh nahin sakte the gae uTh ke lahad mein
baiThe rahen ab ghar mein liye uzr-e-hina aap
jate nahin hum mast kabhi uTh ke haram se
aati hai yahan uD ke mai-e-hosh-ruba aap
kyun phir gain kambaKHt ki aankhen dam-e-aKHir
rakhte the bahut ghair se ummid-e-wafa aap
aawaz meri baiThi hai ai hazrat-e-zahid
kyun bahr-e-azan aaj dabaate hain gala aap
halka sa ghilaf ek tha sayyaad qafas par
thi aur na kuchh rok ruki mujh se saba aap
hum dil mein utarenge ye kahti hain nigahen
aa jaen kisi tarah lab-e-baam zara aap
qabu ka tumhaare bhi nahin josh-e-jawani
be-chheDe hue TuTte hain band-e-qaba aap
mohtat 'riyaz' aap jawani mein bahut hain
piri mein bhi luTenge jawani ka maza aap

Ghazal
Thi zarf-e-wazu mein koi shai pi gae kya aap
Riyaz Khairabadi