اردو हिंदी
The daman-e-hayat pe ek dagh ham, gae | Shaahi Shayari
the daman-e-hayat pe ek dagh ham, gae

Ghazal

The daman-e-hayat pe ek dagh ham, gae

Khawar Rizvi

;

the daman-e-hayat pe ek dagh ham, gae
lekin ye kya hua teri zulfon ke KHam gae

ek ehtijaj se hain ibarat hayat-o-maut
rote hue jo aae to ba-chashm-e-nam gae

tai kar saka na wusat-e-dasht-e-wafa koi
dawe jinhen bahut the qadam-do-qadam gae

kuchh der khelte rahe mauj-e-bala se hum
kuchh dur sath sath wajud-o-adam gae

Thahre hue hain barg-e-KHizan-dida ki tarah
sanki hawa zara bhi to samjho ki hum gae

ye majra hai kya ki zamin Dolne lagi
ye kya hua ki chalte hue log tham gae