thakan to agle safar ke liye bahana tha
use to yun bhi kisi aur samt jaana tha
wahi charagh bujha jis ki lau qayamat thi
usi pe zarb paDi jo shajar purana tha
mata-e-jaan ka badal ek pal ki sarshaari
suluk KHwab ka aankhon se tajirana tha
hawa ki kaT shagufon ne jazb kar li thi
tabhi to lahja-e-KHushbu bhi jarehana tha
wahi firaq ki baaten wahi hikayat-e-wasl
nai kitab ka ek ek waraq purana tha
qaba-e-zard nigar-e-KHizan pe sajti thi
tabhi to chaal ka andaz KHusrawana tha
Ghazal
Thakan to agle safar ke liye bahana tha
Iftikhar Arif