thakawaTon se baiTh ke safar utariye kahin
bala se garm ret ho agar na mil sake zamin
kaho to is libas mein tumhaare sath main chalun
ghubar oDh lunga main badan pe aaj kuchh nahin
baton ka ghol ab yahan utar ke pa sakega kya
khaDe ho tum jahan pe ab wo narm jhil thi nahin
khule hue makan mein ada bhi teri KHub hai
zaban se qufl ki talab kalid zer-e-astin
tamam umr pa-ba-gil na jangalon se mil saka
daraKHt zard haal sa jo ab bhi hai khaDa yahin
wo rang ka hujum sa wo KHushbuon ki bhiD si
wo lafz lafz se jawan wo harf harf se hasin
abhi bhi is makan mein palang taKHt mez hai
gae jo sair ke liye to phir na aa sake makin
Ghazal
ThakawaTon se baiTh ke safar utariye kahin
Wahab Danish