thak gaya hai dil-e-wahshi mera fariyaad se bhi
ji bahalta nahin ai dost teri yaad se bhi
ai hawa kya hai jo ab nazm-e-chaman aur hua
said se bhi hain marasim tere sayyaad se bhi
kyun sarakti hui lagti hai zamin yan har dam
kabhi puchhen to sabab shahr ki buniyaad se bhi
barq thi ya ki sharar-e-dil-e-ashufta tha
koi puchhe to mere aashiyan-barbaad se bhi
baDhti jati hai kashish wada gah-e-hasti ki
aur koi khinch raha hai adam-abaad se bhi
Ghazal
Thak gaya hai dil-e-wahshi mera fariyaad se bhi
Parveen Shakir