اردو हिंदी
Tha us ka jaisa amal wo hi yar main bhi karun | Shaahi Shayari
tha us ka jaisa amal wo hi yar main bhi karun

Ghazal

Tha us ka jaisa amal wo hi yar main bhi karun

Yaqoob Arif

;

tha us ka jaisa amal wo hi yar main bhi karun
rida-e-waqt ko kya dagh-dar mein bhi karun

muaf mujh ko na karna kisi bhi surat se
zamane tujh ko agar ashk-bar main bhi karun

mile jo mujh ko bhi fursat gham-e-zamana se
kisi ke samne zikr-e-bahaar main bhi karun

jo Dale rahte hain chehron pe maslahat ki naqab
kya aise logon mein tera shumar main bhi karun

KHuda kare ki tujhe wo maqam bhi ho nasib
jahan pahunch ke tera eatibar mein bhi karun

saliqa mujh ko jo aa jae sher kahne ka
ki ghazal-e-'mir' se naqsh-o-nigar main bhi karun