tha pas abhi kidhar gaya dil
ye KHana-KHarab ghar gaya dil
KHwar aisa hua butan ke pichhe
nazron se meri utar gaya dil
shabnam ki misal rote rote
us bagh se chashm-e-tar gaya dil
jun KHizr raha hamesha tanha
aise jine se bhar gaya dil
kya puchhte ho KHabar tum us ki
yak umr hui ki mar gaya dil
marte marte bhi ye jawan-marg
suraKH jigar mein kar gaya dil
tha dushman-e-jaan baghal mein 'hatim'
jaane de bala se gar gaya dil
Ghazal
Tha pas abhi kidhar gaya dil
Shaikh Zahuruddin Hatim