tha meri jast pe dariya baDi hairani mein
kyun mera aks bahut der raha pani mein
shayad is KHak se KHurshid koi uTThega
so main rahta hun anasir ki nigahbani mein
pas-e-adab ki yan der nahin lagti hai
mir-e-zindan ko badalte hue zindani mein
un ki aawaz ko KHatir mein na lane walo
tum ne dariyaon ko dekha nahin tughyani mein
wo ajab daur-e-mohabbat tha zamana tha na waqt
jaise donon hon kisi aalam-e-la-fani mein
wo bhi taswir sa aaghaz-e-mohabbat mein raha
main bhi tha aaina-KHanon ki si hairani mein
koi gham-KHwar nazar aae to Dar jata hun
ye bhi aaseb na ho qalab-e-insani mein
mere honTon hi pe uDti rahi aawaz ki rakh
kaise lau de ye kisi KHitt-e-barfani mein
teri basti ko KHuda ishq se aabaad rakhe
jis ne aabaad rakha hai mujhe virani mein
Ghazal
Tha meri jast pe dariya baDi hairani mein
Razi Akhtar Shauq

