اردو हिंदी
Tha makan-e-dil kisi aur ka pa raha basa koi dusra | Shaahi Shayari
tha makan-e-dil kisi aur ka pa raha basa koi dusra

Ghazal

Tha makan-e-dil kisi aur ka pa raha basa koi dusra

Asad Badayuni

;

tha makan-e-dil kisi aur ka pa raha basa koi dusra
main kisi ke hijr mein muztarib mujhe chahta koi dusra

tera rang sab se juda sahi teri shakl sab se hasin magar
mera mubtada koi aur hai mera muntaha koi dusra

mere log gard-o-ghubar mein tere yar tere dayar mein
tu asir-e-manzil-e-shash-jihat mera rasta koi dusra

main zara si baat pe ruTh kar to nahin gaya teri bazm se
mere mehrban kabhi sochta tha moamla koi dusra

yahi aasman mera aasra yahi KHak-e-KHilat-e-be-baha
meri jaedad-e-junun jise nahin banTta koi dusra