tez mujh par jo sitamgar ki chhuri hoti hai
kijiye kya ki lagi dil ki buri hoti hai
mana karta hai taDapne se qafas mein sayyaad
nale karta hun to gardan pe chhuri hoti hai
har badi karti hai insan ko duniya mein halak
sam-e-qatil hai wo aadat jo buri hoti hai
ahl-e-dil ishq mein dam mar saken kya mumkin
rag-e-jaan ke liye har sans chhuri hoti hai
baiTh kyun baada-kashon mein ki hon gum hosh-o-hawas
sohbat-e-ahl-e-KHarabaat buri hoti hai

Ghazal
Tez mujh par jo sitamgar ki chhuri hoti hai
Saqib Lakhnavi