tez lahje ki ani par na uTha len ye kahin
bachche nadan hain patthar na uTha len ye kahin
jin jaziron ko ye jate hain qanaat kar lo!
sochte rahne mein langar na uTha len ye kahin
e'timad un pe karo KHadsha hai ye bhi warna
dast-e-sahil se samundar na uTha len ye kahin
un ke hathon ki tanaben hain zamin par lipTi
shahr ki aankh se manzar na uTha len ye kahin
ahd bhi un hi ka ham-zehn hai so chup hi rahen
agli sadiyon ke calendar na uTha len ye kahin

Ghazal
Tez lahje ki ani par na uTha len ye kahin
Tariq Jami