tez ho jata hai KHushbu ka safar sham ke baad
phul shahron mein bhi khilte hain magar sham ke baad
us se daryaft na karna kabhi din ke haalat
subh ka bhula jo lauT aaya ho ghar sham ke baad
din tere hijr mein kaT jata hai jaise-taise
mujh se rahti hai KHafa meri nazar sham ke baad
qad se baDh jae jo saya to bura lagta hai
apna suraj wo uTha leta hai har sham ke baad
tum na kar paoge andaza tabahi ka meri
tum ne dekha hi nahin koi shajar sham ke baad
mere bare mein koi kuchh bhi kahe sab manzur
mujh ko rahti hi nahin apni KHabar sham ke baad
yahi milne ka samay bhi hai bichhaDne ka bhi
mujh ko lagta hai bahut apne se Dar sham ke baad
tirgi ho to wajud us ka chamakta hai bahut
DhunD to lunga use 'nur' magar sham ke baad
Ghazal
Tez ho jata hai KHushbu ka safar sham ke baad
Krishn Bihari Noor