tez aandhi ne faqat ek saeban rahne diya
hum zamin-zadon ke sar par aasman rahne diya
lafz wo barte ki sari baat mubham ho gai
ek parda tha ki hael darmiyan rahne diya
aankh basti ne sabhi mausam musafir kar diye
ek ashkon ki rawani ka saman rahne diya
KHun ki surKHi andheron mein ujala ban gai
hum ne har surat charaghon ko jawan rahne diya
sad-kamal-e-mehrbani paniyon ne is dafa
kaghzi kashti ko lahron par rawan rahne diya
lakh koshish par bhi ghar ko ghar na kar pae 'shafiq'
aur phir hum ne makan ko bas makan rahne diya
Ghazal
Tez aandhi ne faqat ek saeban rahne diya
Shafiq Saleemi

